Iss tarah tay kiya zindagi ka safar
Umar ghat ti gayi dard badta gaya
Aansoon ki nadi me nahaye bahut
Chah ki pyaas bujh na saki aaj tak
Shabd ke beez man me ugaye bahut
Geet ki pyaas bujh na saki aaj tak
Ham marusthal me baithe taraste rahe
Aur smundar me badal barasta raha
Waqt ki aandhiyan roj hamko yahan
Bas idhar se udhar udathi rahi
Roshni bhi hame zindagi ki tarah
Bas andheren ki pustak pdati rahi
Apne aangan ne khushiyan to utri nahi
Aankh me roj sawan utarta raha
By: Unknown
No comments:
Post a Comment