Pages

Friday, January 28, 2011

Suraj Abhi Chupa

Suraj abhi chupa hi tha k tum yaad aa gaye 
dil abhi dhadka hi tha k tum yaad aa gaye 
shayad nahin thi maut hamare nasib me
bas dum nikal chala hi tha k tum yaad aa gaye 
tanha bhi to guzarti hai logon ki zindagi
ek hounsla mila tha k tum yaad aa gaye 
khuda jane kya hoga mera hashra mein 
sar jhuka raha tha k tum yaad aa gaye 
"Moin" ab to bhul hi jaynge hum unhe
ye faisla hi kiya tha k tum yaad aa gaye.

By: Moin

No comments:

Post a Comment