Pages

Friday, January 28, 2011

Tadap Uthoo to Zalim

Tadap uthoo to zalim teri duhai na doon
main zakhm zakhm hoon phir tujhe dikhai na doon

tere badan mein dhadkne laga hoon dil ki tarah
ye aour baat ki ab bhi tujhe sunaai na doon

khud apne aap ko parkha to ye nadaamat hai
ki ab kabhi use ilzaame bewafaai na doon

meri baqaa hi meri khwahishe gunah mein hai
main zindagi ko kabhi zahare paarsai na doon

jo than gai hai to yaari per harf kun aaye
hareefe jaa ko kabhi taane ashnaai na doon

mujhe bhi dhoond kabhi mahoe aaina daari
main tera aks hoon leekin tujhe dikhai na doon

ye hausla bhi badi baat hai shikast ke baad
ki dusroo ko to ilzaame naarasaai na doon

Faraz daulate dil mataaye mahroomi
main jaame jam ke evaz kasaye gadai na doon

By: "Ahmed Faraz"

No comments:

Post a Comment