Wo bandagi ki aisi misal deta hai
Aawargi ko shariyat mein dhaal deta hai
Wo khush qalam hai is darja baat krny mein
K harf harf ko husn o jamal deta hai
Main uska sath jo mangon zindagi bhar ko
Baray haseen tareeqy say taal deta hai
Ye jan kr bhi k mera wo ho nhi skta
Wo dekhta hai yun! Hairut mein daal deta hai
Sawal jaisy k pnaah mangtay hon aankhon say
Jawab aankhon sey esay kamaal deTa he.
By: Unknown
No comments:
Post a Comment